Sunday, February 7, 2016

Chest Kaise Banaye – Body Building

Chest Kaise Banaye – Body Building
Chest Kaise Banaye – Agar apko logon ko akarshit karna achha lagta hai to aap apki body ko ek mardana akar dena hoga. Jisase ladkiya aapki taraf akarshit hongi. Agar aapki chest auron se badi hai to iska matlab hota hai aap mein himmat bhi auro se kai guna jyada hai. Police, military mein bharti hone ke liye unki bhi chest badi hone sambandh me shart hai, To ek nazar dalte hai ki Chest Kaise Banaye.
Chest Kaise Banaye
Bhagne wali exercise kam karo
Dodne se, tairne se aapki bohot urja kam hoti hai, is urja ko aap apki takad badhane mein upyog kar sakte ho. Aisi exercises kam karde.
Chest Kaise Banaye, wajan utane wali exercise karo: Ek abhyas se ye pata chala hai ke wajan uthane wali exercise se takad, snayu(muscle) teji se badhti hai. Aap ise time ke hisab se timer lagake kare to jyda fayda hoga.
Jitni ho sake utni jyadya mehnat lo
Chest Kaise Banaye, Snayu ko jitna chunoti do ve utne majboot hote hai.Iska matlab ye hua ke aapko jyada se jyada wajan uthane ki koshish aur jyada se jyada prayas(rips) karna hoga.
Sabse pehle ye nirnay le ki aap kitna wajan utha sakte hai. Aap tarah tarah ke wajan uthake dekh sakte he jise aap 10 se jyada baar utha sake ve halke aur jise nahi utha paye ve bhari aisa maan le.
Agar aap shuruvat kar rahe hai to trainer ke sath sikhna faydemand rahega isase aapko koi jakham nahi hogi.
Samay ke sath wajan badhate rahe
Isase aapke snayu ki takad badhegi bhari cheese uthane mein asani badhti jayegi.
Chest Kaise Banaye – Chest Exercises
Bench Press
Chest Kaise Banaye, Chest badhane ke liye is vyayam ko sabse mahtvapurna mana gaya hai. Is vyayam ke liye aap bench press machine ka upayog kar sakte hai.
Aisa wajan chune jise aap 7 se 8 bar utha paye.
Ab bench machine par let jaye, aur dande ko dono hantho se dono kandho se thoda jyada antar rakhke pakad le.
Us dande ko aapki chest tak(chhati tak) dheere dheere laye.
Badme use fir shuruwati jagah tak le jaye.
Aisa bar bar kare fail hone tak. Badme fir 2, 3 min rukakar firse dohraye.
Agar aap 10 se jyada baa rise kar pa rahe hai to wajhan badha le.
Dumbbells ya cable station ka upyog kare
Peeth ke bal let jaye aur dono hthon mein dumbbell ya cable pakde.
Bahe failaye dono hatho ko thoda body sids se neecha rakhe.
10 se 12 bar iska pryayog kare.
Iskee alawa aap push ups, pull ups, dips, drop set aisi exercise kar sakte hai.
Push up
Isme aap variety kar sakte hai. Jitna ho sake utne hath failakar ya ek per hawa mein rakhkar wagairh. Har tarah se fayda hoga.
Pull ups
Ye aapke hatho ko, bahon ko, chest ko aur pet ko tandarust banata hai. Isme aapko kisi cheez se latak kar khudke sharer ko hava mein uthana he au rise baar bar karna hai.
Dips
Aap inhe Dip bar ya fir apni kamar se uchi par jaha hath rakh pahuch paye aisi jagah par kar sakte hai.
Apko ye article kaisa laga niche comment me jarur likhiye.

No comments:

Post a Comment